Mulk ko sarhadon mein mat banto,
Mazhab ko Firkon mein mat banto,
Milkar rehna bhi mushkil nahein,
Pyaar ko tukron mein mat banto,
Tum socho woh soch sab ki nahein,
Soch ko sochon mein mat banto,
Jism aik hai toh kyaa fark reh gaya,
Insaan ko mazhabon mein mat banto,
Kya hasil hai tum ko simt mein simatt jana,
Ik kataar ko kataaron mein mat banto,
Ishwar ko chor do, baksh do 'doshi',
Uss ko zubaano mein mat banto.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment